Posts

Showing posts from 2014

Diya Khud Se Bujha Dena Hawa Ko Aur Kia Dena ? Sitare Nochne Walo Falak Ko Aasra Dena Kabhi Is Taur Se Hansna Ke Dunya Ko Rula Dena Kabhi Is Rang Se Rona Ke Khud Pe Muskura Dena Main Teri Dastaras Chahun Mujhe Aisi Dua Dena Main Tera Barmla Mujrim Mujhe Khul Kar Saza Dena Main Tera Munfarid Sathi Mujhe Hat Kar Jaza Dena Mera Sar Sab Se Ooncha Hai Mujhe Maqtal Naya Dena Mujhe Acha Laga “Mohsin” Ose Pa Kar Ganwa Dena …

Dia.khud/g

Apna to chahton mein yehi ik asool hai, Tera bhalaa bura humain sab kuch qubool hai, Yeh umar bhar ka jaagna bekaar hi na jaye, Tu naa mila to saari reyaazat fazool hai, Khud hi kaha tha tu ne meri jaan chorr de, Ab chorr di to kyon tera chehra malool hai, Aye Maan yeh meri shohrtain meri yeh iztain, Kuch bhi nahin bass tere kadmon ki dhool hai, Aayi jo teri yaad to aankhain barass parri, Iss waqt tere dard ka dil per nazool hai, Ik doosrey ke waastey dono baney Wasi, Guldaan mera dil hai teri yaad phool hai..

Apna.chaht/g

Hai duwa yad magar harf-e duwa yad nahin Meray naghmat ko andaz-e nawa yad nahin Maine palkon se dar-e yar par dastak di hai Main wo sa’ail hoon jisay koi duwa yad nahin Ham ne jin ke liyay rahon main bichaya tha laho Ham se kahtay hain wohi ahd-e wafa yad nahin Kaisay bhar ayin sar-e sham kisi ki ankhain Kaisay tartarhai chiraghon ki zia yad nahin Sirf dhudhlaye sitaron ki chamak dekhi hai Kab howa, kon howa mujh se khafa yad nahin Zindagi jabr-e musalsil ki tarah kati hai Janay kis jurm ki paye hai saza yad nahin Aao ek sajda karain alam-e madhoshi main Log kehtay hain saghir ko Khuda yad nahin

Hai.dua/g

Chup chup rehna kuch na kehna Ye bhi aik udasi hy, Hans k saaray sadmay sehna Ye bhi aik udasi hy, Bethay bethay kho sa jana yun he door khayalon mein, Chaltay chaltay hanstay rehna Ye bhi aik udasi hy, Dil ki batain sun kr hansna ye to sb ki aadat hy, Ghum ki baat pe hanstay rehna Ye bhi aik udasi hy, Maar k kankar lehrain gin’na beth k jheel kinaray per, Kuch logoun ka hy ye kehna Ye bhi aik udasi hy…!!

Chup.chup/g

Tumhare Khat Mein Naya Ik Salam Kis Ka Tha? Na Tha Raqeeb To Aakhir Wo Naam Kis Ka Tha? Wo Qatal Kar Ke Mujhe Har Kisi Se Poochte Hain Ye Kaam Kis Ka Hai? Ye Kaam Kis Ka Tha? Wafa Karein Ge, Nibhaen Ge, Baat Maanain Ge Tumhein Bhi Yaad Hai Kuch, Ye Kalaam Kia Ka Tha? Raha Na Dil Mein Wo Be_Dard Aur Dard Raha Muqeem Kon Hua Hai, Maqaam Kis Ka Tha? Na Pooch Gach Thi Kisi Ki Wahan Na Aao Bhagat Tumhari Bazm Mein Kal Ehtamam Kis Ka Tha? Tamam Bazam Jisy Sun Ke Reh Gai Mushtaaq Kaho Wo Tazkara-E-Naa Tamam Kis Ka Tha? Guzar Gaya Wo Zamana, Kahoon To Kis Se Kahoon? Khayal Dil Ko Mere Subh-O-Shaam Kis Ka Tha?

Tomhare.khat/g

Doobtay Doobtay Kashti Ko Uchala De Doon Main Nahi Koi Tu Sahal Par Utar Jaye Ga Zabt Lazim Hai Magr Dukh Hai Qayamat Ka Faraz Zalim Ab Ke Bi Na Roye Ga Tu Mar Jaye Ga

Dobte.dobte/g

Gham-e Hayat Ka Jagra Mita Raha Hai Koi Chale Aao K Dunya Se Ja Raha Hai Koi Azl Se Keh Do K Ruk Jaye Do Ghari Suna Hai Aane K Waada Nibha Raha Hai Koi Wo Is Naz Se Bethe Hain Lash K Pass Jese Rothe Hoye K Mna Raha Hai Koi Palat Kar Na Aa Jaye Phir Sans Nabzon Main Itne Haseen Hathon Se Myat Saja Raha Hai Koi

Gham.hyat/g

Kab Kon Kisi Ka Hota Hai Sab Jhote Rishte Naate Hain Sab Dil Rakhne Ki Batain Hain Sab Asli Roop Chupate Hain Ikhlas Se Khali Log Yahan Lafzon Ke Teer Chalate Hain Ik Bar Nigahon Main A Kar Phir Sari Umar Rulate Hain Chalo Aaj Jis Ne Dukh Dia Faraz Aaj Us Ko Bhol Jate Hain

Kab.kon/g

HUMIEN TUM BHOOL JAO GE HUMIEN MALOOM HAI LEKIN PALAT K JAB BHI AAO GE MUHABBAT MUNTAZIR HO GI KABHI BHOOLY SE HI MUJH KO AGAR TUM YAD KAR BETHO MERI TASBEEH, TILAWAT AUR IBAADAT MUNTAZIR HO GI FALAK K PAR JA UTRO SAMANDER PE KABHI THEHRO KISI K DAST-E-CHAHAT KI IMANAT MUNTAZIR HO GI HAMARI ARZOO JO HAI TUMHARI DASTRAS MEIN HAI MILO NA TUM MILO LEKIN MUHABBAT MUNTAZIR HOGI

Mal.gjm/agj

Samandar Mein Utarta Hun To Aankhen Bheeg Jati Hain, Teri Aankhon Ko Parhta Hun To Aankhen Bheeg Jati Hain… Tumhara Naam Parhne Ki Ijazat Cheen Gai Jab Se, Koi Bhi Lafz Parhta Hun To Aankhen Bheeg Jati Hain…. Mein Hans Ke Jhail Leta Hun, Judai Ki Sabhi Rasmain, Galey Jab Us Ke Lagta Hun To Aankhen Bheeg Jati Hain… Na Jane Ho Gaya Hun Is Qadar Hasas Mein Kab Se..? Kisi Se Baat Karta Hun To Aankhen Bheeg Jati Hain… Wo Sab Guzre Hue Lamhaat Mujh Ko Yaad Aate Hain, Tumhara Khat Jo Parhta Hun To Aankhen Bheeg Jati Hain… Mein Sara Din Bohat Masroof Rehta Hun Mager Joonhi, Qadam Chokhat Pe Rakhta Hun To Aankhen Bheeg Jati Hain… Har Ik Muflis Ke Mathe Par Alam Ki Daastanein Hain, Koi Chehra Bhi Parhta Hun To Aankhen Bheeg Jati Hain… Barey Logon Ke Unchey, Bad_Numa, Sard Mehloon Koi, Ghareeb Aankhon Se Takta Hun To Aankhen Bheeg Jati Hain… Tere Kooche Se Ab Mera Taaluq Waajbi Sa Hai, Magar Jab Bhi Guzarta Hun To Aankhen Bheeg Jati Hain… Hazaar Mausamon Ki Hukmarani Hai Mere Dil Pe ‘Wasi’ Mein Jab Bhi Hansta Hun To Aankhen Bheeg Jati Hain….!

Aik Lafz Mohabbat Hai Isey Kar Ke Dekho Tum Barbad Na Ho Jao To Mera Naam Badal Dena Aik Lafz Muqaddar Hai Is Se Larr Ke Dekho Tum Haar Na Jao To Mera Naam Badal Dena Aik Lafz Wafa Hai Jo Dunya Mein Nahi Milti Kahin Se Gar Mil Jaye To Mera Naam Badal Dena Aik Lafz Aansu Hai Isey Dil Mein Chupa Kar Dekho Tum Aakhon Se Na Beh Jaye To Mera Naam Badal Dena Aik Lafz Judai Hai Isey Seh Kar To Dekho Tum Toot Kar Bikhar Na Jao To Mera Naam Badal Dena…

vo ko_ii aur na thaa chand Khushk patte the shajar se TuuT ke jo fasl-e-gul pe roye the abhii abhii tumhe.n sochaa to kuchh na yaad aayaa abhii abhii to ham ek-duusare se bichha.De the tumhaare baad chaman par jab ik nazar Daalii kalii kalii me.n Khizaa.N ke chiraaG jalate the tamaam umr vafaa ke gunaah_gaar rahe ye aur baat ki ham aadamii to achchhe the shab-e-Khaamosh ko tanhaa_ii ne zabaa.N de dii pahaa.D guu.Njate the dasht san_sanaate the desert] vo ek baar mare jin ko thaa hayaat se pyaar jo zindagii se gurezaa.N the roz marate the naye Khayaal ab aate hai.n Dhal ke zahan me.n hamaare dil me.n kabhii khet lah_lahaate the ye iratiqaa kaa chalan hai ki har zamaane me.n puraane log naye aadamii se Darate the 'Nadeem' jo bhii mulaaqaat thii adhuurii thii ki ek chehare ke piichhe hazaar chehare the