vo ko_ii aur na thaa chand Khushk patte the shajar se TuuT ke jo fasl-e-gul pe roye the abhii abhii tumhe.n sochaa to kuchh na yaad aayaa abhii abhii to ham ek-duusare se bichha.De the tumhaare baad chaman par jab ik nazar Daalii kalii kalii me.n Khizaa.N ke chiraaG jalate the tamaam umr vafaa ke gunaah_gaar rahe ye aur baat ki ham aadamii to achchhe the shab-e-Khaamosh ko tanhaa_ii ne zabaa.N de dii pahaa.D guu.Njate the dasht san_sanaate the desert] vo ek baar mare jin ko thaa hayaat se pyaar jo zindagii se gurezaa.N the roz marate the naye Khayaal ab aate hai.n Dhal ke zahan me.n hamaare dil me.n kabhii khet lah_lahaate the ye iratiqaa kaa chalan hai ki har zamaane me.n puraane log naye aadamii se Darate the 'Nadeem' jo bhii mulaaqaat thii adhuurii thii ki ek chehare ke piichhe hazaar chehare the


Comments