Hai duwa yad magar harf-e duwa yad nahin Meray naghmat ko andaz-e nawa yad nahin Maine palkon se dar-e yar par dastak di hai Main wo sa’ail hoon jisay koi duwa yad nahin Ham ne jin ke liyay rahon main bichaya tha laho Ham se kahtay hain wohi ahd-e wafa yad nahin Kaisay bhar ayin sar-e sham kisi ki ankhain Kaisay tartarhai chiraghon ki zia yad nahin Sirf dhudhlaye sitaron ki chamak dekhi hai Kab howa, kon howa mujh se khafa yad nahin Zindagi jabr-e musalsil ki tarah kati hai Janay kis jurm ki paye hai saza yad nahin Aao ek sajda karain alam-e madhoshi main Log kehtay hain saghir ko Khuda yad nahin

Hai.dua/g

Comments